Showing posts with label Arijit Singh (Hindi). Show all posts
Showing posts with label Arijit Singh (Hindi). Show all posts

Sunday, 10 December 2017

Tu Har Lamha

Waaqif toh huey tere dil ki baat se Chhupaya jise tune qaaynaat se Waaqif toh huey tere uss khayal se
Chhupaya jise tune apne aap se Kahin na kahin teri aankhein, teri baatein padh rahe hain hum Kahin na kahin tere dil mein, dhadkano mein dhal rahe hain hum Tu Har Lamha. tha mujhse juda. Chaahe door tha main. yaa paas rahaa Uss din tu haan udaas rahe tujhe jis din hum na dikhe na miley Uss din tu chup-chaap rahe tujhe jis din kuch na kahe na suney Main hoon bann chuka, jeene ki ik wajah Iss baat ko khud se tu na chupaa. Tu Har Lamha. tha mujhse juda. Chaahe door tha main. yaa paas rahaa Lab se bhale tu kuch na kahe Tere dil mein hum hi toh base yaa rahe Saansein teri iqraar kare Tera haath agar chhulein, pakde Teri khwahishein kar bhi de tu bayaan Yehi waqt hai inke izhaar ka. Tu Har Lamha. tha mujhse juda. Chaahe door tha main. yaa paas rahaa

Jiya

Jiya. main na jiya Reza Reza. mera jiya Jiya. main na jiya
Reza Reza. mera jiya Main begaana sa Tha deewana sa Mujhko teri chaahat ne basa diya Jiya. main na jiya Jiya. main na jiya Jiya ha. main na jiya. Ho likhun hawaaon pe main Nainon se naam tera Ho saaye se main haathon ke Saaya lun thaam tera Ishq ka tu haraf Jiske chaaron taraf Meri baahon ke ghere ka bane hashiya (Haraf: a letter, Hashiya: Margin/Indentation) Jiya. main na jiya Reza Reza. mera jiya Jiya. main na jiya Main na jiya. Naina, firozi nehar Khwaabon ke paani mein ghar O Aise hoon main tere bin Sehra ki jaise sehar (Firzoza: A blue/green colored semi-precious stone) Saans mein tu bhare Do jahaan se pare Aake tujhse milun main Mere sathiyaa.

Humdard

Pal Do Pal Ki Kyun Hai Zindagi. Iss Pyaar Ko Hai Sadiyaan Kaafi Nahin. Toh Khuda Se Maang Loon Mohlat Main Ek Nayi.
Rehna Hai Bas Yahaan. Ab Door Tujhse Jaana Nahin. Jo Tu Mera Humdard Hai -2. Suhaana Har Dard Hai. Jo Tu Mera Humdard Hai. Teri Muskurahatein Hain Taaqat Meri. Mujhko Inhi Se Ummeed Mili. Chaahe Kare Koi Sitam Yeh Jahaan. Inmein Hi Hai Sadaa Hifaazat Meri. Zindagani Badi Khoobsurat Hui. Jannat Ab Aur Kya Hogi Kahin. Jo Tu Mera Humdard Hai -2. Suhaana Har Dard Hai. Jo Tu Mera Humdard Hai. Woooo ... Woooo ... Woooo ... Teri Dhadkanon Se Hai Zindagi Meri. Khwahishein Teri Ab Duaayein Meri. Kitna Anokha Bandhan Hai Yeh. Teri Meri Jaan Jo Ek Hui. Lautoonga Yahaan Tere Paas Main Haan. Waada Hai Mera Mar Bhi Jaaun Kahin. Jo Tu Mera Humdard Hai -2. Suhaana Har Dard Hai. Jo Tu Mera Humdard Hai. Hmm. Humdard Hai.-4

Chunar

O... Jheena Jheena Jheena re Udda Gulaal
Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Jheena Jheena Jheena re udda gulaaal Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Rang Teri Reet Ka Rang Teri Preet Ka Rang Teri Jeet Ka Hai Layi Layi Layi... Rang Teri Reet Ka Rang Teri Preet Ka Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Jab Jab Mujhpe Hai Utha Sawaal Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Jheena Jheena Re Udaa Gulaal Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Maaayi re... Maaaa. Maaa... Maayi re... Jag Se Haara Nahi Main

Khud Se Haara Hoon Maa Ik Din Chamkunga Lekin Tera Sitara Hoon Maa Mayi re... Mayi re... Tere Bin Main To Adhura raha Mayi re... Mayi re... Mujhse Hi Roothi Meri Parchhayi O... Meri Parchhayi Tera Khayal Mayi Teri Chunariya Lehrayi O Jheena Jheena Jheena re Udda Gulaal Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Rang Teri Reet Ka Rang Teri Preet Ka Rang Teri Jeet Ka Hai Layi Layi Layi... Rang Teri Reet Ka Rang Teri Preet Ka Mayi Teri Chunariya Lehrayi... Jab Jab Mujhpe Hai Utha Sawaal Mayi Teri Chunariya Lehrayi Jeena Jheena Re Udaa Gulaal Mayi Teri Chunariya Lehrayi...

Raaz aankhein teri

Raaz aankhein teri Sab bayaan kar rahi Sun raha dil teri khamoshiyan
Kuch kaho na suno Paas mere raho Ishq ki kaisi hai ye gehraiyan Saaya bhi jism se Hota hai kya judaa Jithni bhi zor ki ho aandhiyan Raaz aankhen teri Sab bayaan kar rahi Sun raha dil teri khamoshiyan Jeena ka tu sahara Tu hi roshni Kehta hai har sitara Meri tu chandni Hum judaa ho jaaye aisa mumkin nahi Dhoop ho tum meri Chhaanv bhi ho tum hi Paas ho toh door hai tanhaaiyan Main chalunga mushqilon mein Saaya ban tera Iss jahan mein, uss jahan mein Bas ek tu mera Khusbuoon se teri mehke jism mera
Maut aayegi toh lad jaaunga Saaya bhi jism se Hota hai kya judaa Jitni bhi zor ki ho aandhiyan Kuch kaho na suno Paas mere raho Ishq ki kaisi hai ye gehraiyan

Lambiyaan Si Judaiyaan (From "Raabta")

Sajda tera kar na sakoon Toh bandagi kya bandagi Tere bina jeena pade
Toh zindagi kya zindagi Kya rang laaya Dil ka lagaana Kya rang laaya Dil ka lagaana Goonje hawaa mein Bichhde dilaan diyaan duhaiyaan Vey badi lambiyaan se judaiyaan Tere nishaan yaadon mein hain Tu kyun nahi taqdeer mein Nadaan dil hai dhoondta Qurbat teri tasveer mein Mumkin nahin hai tujhko bhulaana Mumkin nahin hai tujhko bhulaana Dekhe Khudaya do aashiqaan diyaan tabahiyan Vey badi lambiyaan se judaiyaan (Ali Ali Ali… Ali Maula…) Naraaz ho chaahe Khuda Duniya bhale raqeeb ho Uff na karun hothon se main Bas tu agar qareeb ho Badi lambiyan se judaiyan
Badi lambiyaan se judaiyaan Judaiyaan. judaiyaan. Vey badi lambiyaan se judaaiyaan Lambiyan se judaiyaan Lambiyan se judaaiyan Lambiyan se judaaiyan… (Vey badi lambiyaan se judaaiyaan…)

Haareya

Dekheya main chaand dekheya Nooran waale sitaare dekheya Par tere jaisa na koi dekheya main Lagta hai nigaahon mein teri Bin doobe rehna hi nahi Mujhe ishq yeh karne se Ab koi bhi na rok sakeya O haareya main dil haareya O haareya main dil haareya O haareya main dil haareya Main haara tujhpe o. O hareya main dil hareya O hareya main dil hareya O hareya main dil hareya Main haara tujhpe Main haara tujhpe o… mmm. o o. oo. mmm. o oo. Khuli aankhon se dekha woh Haseen khwab hai tu Dil mein jo utar jaaye woh Pyaari baat hai tu (x2 repeat) Tere naam ka nasha nasha hai Zubaan pe chhaa gayaa Iss bekhudi mein doobne se Main khud ko na rok sakeya Dekheya main phool dekheya Khushboo ke nazare dekheya Par tere jaisa na koi dekheya main Lagta hai baahon mein teri Bikhre bin rehna hi nahi Mujhe ishq yeh karne se Ab koi bhi na rok sakeya O haareya main dil haareya O haareya main dil haareya O haareya main dil haareya Main haara tujhpe o. Main hareya main dil hareya Ke hareya main dil hareya Lo hareya main dil hareya Main haara tujhpe Main haara tujhpe o… Mmm… o o. oo…

Kabira

Kaisi teri khudgarzi Na dhoop chune na chhaaon Kaisi teri khudgarzi
Kisi thor tike na paaon Kaisi teri khudgarzi Na dhoop chune na chhaaon Kaisi teri khudgarzi Kisi thor tike na paaon Mast Maula Mast Kalandar Tu hawa ka ek bavandar Bujh gai andar hi andar Kyun reh gaya Re Kabira maan jaa Re Faqeera yu na jaa Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan Re Kabira maan ja Re Faqeera yu na ja Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan Ye ae e e... Hau wo oo... Hmm... Na na na na na na n... Yehe Tooti chaarpaai wohi Thandi purvaai rasta dekhe Doodhon ki malaai wohi Mitti ki suraahi rasta dekhe.
Kaisi teri khudgarzi Na dhoop chune na chhaaon Kaisi teri khudgarzi Kisi thor tike na paaon Kaisi teri khudgarzi Na dhoop chune na chhaaon Kaisi teri khudgarzi Kisi thor tike na paaon Ho Mast Maula, mast Kalander Tu hawa ka ek bavandar Bujh gai andar hi andar Kyun reh gaya Re Kabira maan jaa Re Faqeera yu na jaa Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan Re Kabira maan jaa Re Faqeera yu na jaa Aaja tujhko pukaare teri parchhaaiyan Hau ho ao Hmm Na na n na na na Na na n na na na Ye e ye e ye e yo ao Hmm Pa pari ri ra pa pa pa ri ra Hmm

Dhokha Dhadi

Teri aankhon se hui yaariyan chalte chalte yunhi Meri aankhon ne teri aankhon se aap-beeti kahi Teri aankhon k piche piche hum pagle se chal pade Meri aankhen ab dil ke chakar me kuch bhi na sunti hain Dil yeh dhokha dhadi kar dega, Socha na tha Itni yeh gadbadi kar dega, Socha na tha Aisi mushkil khadi kar dega, Socha na tha (...) Haan tera dil farebi hain Aur hum sirphire bhi hain Pyaar-vyaar hum nahi jaante Seedhe-saade lagte ho Phir kyun aise thugte ho Lagte hain kya nadaani se Hmm, isey jo maaf kije wallah Yeh dil zara sa hai nitthalla Iraade hain beimaan se Dil ye dhokha dhadi kar dega, Socha na tha Itni ye gadbadi kar dega, Socha na tha Aise mushkil khadi kar dega, Socha na tha. (...) Mere kaano mein kahin Roshandaano se kahin Chhanti teri aawaz hai Zyaada na hai ye kahin Chup bhi na hai yeh rahe Aankhon ka ye andaaz hai Chalo miyaan ho gaya wallah Neendon mein bhi khona phisalna Khwaabon pe tum chalna dheere se Dil ye dhokha-dhadi kar dega, Socha na tha Itni yeh gadbadi kar dega, Socha na tha Aise mushkil khadi kar dega, Socha na tha...

Tu Hi Hai

O mere mohalle mein Chaand jo aaya hai Eid jo laaya hai
Tu hi toh nahi Ammi ne meri jo Suit silaya hai Khwaab dikhaya hai Tu hi toh nahi Haan jiske liye dil bigadne lagaa hai Woh kaun hai, Tu Hi Hai Jiske liye dil sambhalne lagaa hai Woh kaun hai, Tu Hi Hai Door ye kaun hai Paas ye kaun hai Khaas ye kaun hai Tu hi hai Jiske liye maine Saari haseeno ke Dil tode jaana hai Tu hi toh nahi Jiske liye mujhko Jeete hi jaana hai Beema karana hai Tu hi toh nahi
Aane se jiske aa jati hai saansein Woh kaun hai, Tu hi hai Jaane se jiske jaati hai jaanein Woh kaun hai, Tu hi hai Door ye kaun hai Paas ye kaun hai Khaas ye kaun hai Tu hi hai Mere shairon mein ye kaun hai Meri shayari mein kaun hai Meri diary mein kaun hai Tu hi hai… Gubbaron mein ye kaun hai Khumaron mein ye kaun hai Guitaron mein ye kaun hai Tu hi hai, o…

Teri Meri Kahaani (From "Gabbar Is Back")

Mujh mein safar, tu karti rahe Har ek saans mein, guzarti rahe
Shaam o subah, tu mera Tere bina, kya mera Do jism jaan, ek hain Na hona kabhi tu juda Teri meri kahaani, hai baarishon ka paani Banke jo ishq barse, teri meri kahaani Teri meri kahaani, hai baarishon ka paani Banke jo ishq barse, teri meri kahaani Dekho na kaisi, ijaazat mili hai Ek doosre mein, hifazat mili hai (Palak Muchhal Begins) Jeene ki saari, zaroorat mili hai Jo bhi hai jaisa hai, yunhi hamesha Hamesha rahe jis tarah Shaam o subah, tu mera Tere bina, kya mera Do jism jaan, ek hain Na hona kabhi tu juda Teri meri kahaani, hai baarishon ka paani Banke jo ishq barse, teri meri kahaani Teri meri kahaani, hai baarishon ka paani Banke jo ishq barse, teri meri kahaani Mujh mein safar, tu karti rahe Har ek saans mein, guzarti rahe
Humse ye jo bhi, harqat huyi hai Mohabbat mohabbat, mohabbat huyi hai Kuch itne hai hum tum, Kami kuch nahi hai Jitna bhi jeena hai, tujhko hi jeena hai Jeete rahe jis tarah Shaam o subah, tu mera Tere bina, kya mera Do jism jaan, ek hain Na hona kabhi tu juda Teri meri kahaani, hai baarishon ka paani Banke jo ishq barse, teri meri kahaani Teri meri kahaani, hai baarishon ka paani Banke jo ishq barse, teri meri kahaani

Saware

Pehle kyun na mile hum Tanha hi kyun jale hum Milke muqammal hue hain
Yaa the tanha bhale hum Saware... Saware... Saware... Na humaara hua na tumhara huaa Ishq ka ye sitam na gawara hua Na humaara hua na tumhara huaa Ishq ka ye sitam na gawara hua Sun bairiya... Saware Sun bairiya... Saware Pal pal ginke guzara Maano karza utaara Tum se munaasib hua hai Phir se jeena humaara Saware... Saware..
Hmm... Na humaara hua na tumhara hua Ishq ka ye sitam na gawara hua Na humaara hua na tumhara huaa Ishq ka ye sitam na gawara hua Sun bairiya... Saware Sun bairiya... Saware Dhalti raat ka ik musaafir Subah alvida keh chala Jeete jeete raah ho saka na Marke haq ada kar chala O... (Na humaara hua, na tumhara hua) O... (Ishq ka ye sitam na gawara hua) O... (Na humaara hua, na tumhara hua) O... (Ishq ka ye sitam na gawara hua) Sun bairiya... Saware Sun bairiya... Saware.

Aaj Zid (From "Aksar 2")

Aaj zid kar raha hai dil Aaj zid kar raha hai dil Karna hai bas tujhe hasil
Aaj zid kar raha hai dil Ho mujhme tu ho bhi ja shamil Aaj zid kar raha hai dil Kahin khud ko mujhme tu Chhod ja, chhod ja Tere sath mujhko tu Jod ja, jod ja Yeh jo kanch ke jaisi Ek deewar hai Meri baahon mein use Tod ja, tod ja Yeh jo ik adhuorapan hai Ik duosre se bhar de Jise umar bhar na bhulein Woh lamhe mil jaayein Maan le mujhe tere kabil Aaj zid kar raha hai dil Ho mujhme tu ho bhi ja shamil Aaj zid kar raha hai dil Bepanah tujhpe fida hoon Bepanah tujhe chaahta hoon Bepanah tujhe maanta hoon Bepanah, bepanah
Tu nasha tu khumar Tera junun sar pe sawar Aaj tu khud ko mere yaar De pila, de pila Mujhe sirf teri lagan hai Use mil ke pura kar de Meri itni si hai khwaahish Tera pyar mil jaye Ban bhi ja tu meri manzil Aaj zid kar raha hai dil Ho mujhme tu ho bhi ja shamil Aaj zid kar raha hai dil Hmm aaj zid. Aaj zid kar raha hai dil Aaj zid kar raha hai dil Aaj zid kar raha hai dil

Lo maan liya humne

Lo maan liya humne Hai pyaar nahi tumko Tum yaad nahi humko Hum yaad nahi tumko Bas ek dafa mudke dekho Aye yaar zara humko Lo Maan Liya Humne Hai pyar nahi tumko Tum yaad nahi humko Hum yaad nahi tumko Instrumental.. Lo maan liya dekha hi nahin Tere kaandhe ka woh til Lo maan liya toota hi nahin Tere hathon se mera dil Chhaaon mein teri beeti hi nahi Wo garmi ki baatein Baahon mein teri guzri hi nahi Wo sardi ki raatein Lo maan liya humne Aitbaar nahi tumko Tum yaad nahi humko Hum yaad nahi tumko Instrumental.. Jaao le jaao neend meri Uff na karenge hum Jo le jaaoge khwaab mere Toh kaise jiyenge hum Jeena humko aata hi nahi Teri saanson ke siva Marna bhi ab na mumkin hai Teri baahon ke siva Lo maan liya humne Parwah nahi tumko Tum yaad nahi humko Hum yaad nahi tumko

Manwa Laage

Manwa laage. o manwa laage Laage re sanware Laage re sanware Le tera hua jiya ka, jiya ka, jiya ka ye gaanv re Manwa laage. o manwa laage Laage re sanware Laage re sanware Le khela maine jiya ka, jiya ka, jiya ka hai daav re Musaafir hoon main door ka Deewana hoon main dhoop ka Mujhe na bhaye. na bhaye, na bhaye chaanv re Manwa laage. o manwa laage Laage re sanware Laage re sanware Le tera hua jiya ka, jiya ka, jiya ka ye gaanv re hey hey...¸¸.•¨• Aisi kaisi boli tere naino ne boli Jaane kyon main doli Aisa lage teri ho li main, tu mera. mm. Tune baat kholi kacche dhaago me piro li Baaton ki rangoli se na khelun aise holi main naa tera. O. kisi ka toh hoga hi tu Kyun na tujhe main hi jeetun Khule khabon me jeete hain, jeete hain baawre Mann ke dhaage, o mann ke dhaage Dhaage pe saanwre Dhaage pe saanwre Hai likha mene tera hi, tera hi, tera hi to naam re Ras bundiya nayan piya raas rache Dil dhad dhad dhadke shor mache Yun dekh sek sa lag jaaye Main jal jaaun bas pyaar bache Aise dore daale kaala jaadu naina kaale Tere main hawaale hua seene se laga le Aa. main tera... O. dono dheeme dheeme jalein Aaja dono aise milein Zameen pe laage, na tere, na mere paanv re Manva laage. manva laage Laage re sanware Laage re sanware Le tera hua jiya ka, jiya ka, jiya ka ye gaanv re Rahoon main tere naino ki, naino ki naino ki hi chaanv re... Le tera hua jiya ka, jiya ka, jiya ka ye gaanv re Rahoon main tere naino ki, naino ki naino ki hi chaanv re...

Alizeh

Pyaar maine toh nibhaya Tere rehte, tere saath bhi Sacch kahun toh, tujhse zyada
Chaha tujhko, tere baad bhi Mmm. main dard hoon Tu dava hai na Main aag hoon Tu hawa hai na Ali, ali, ali, Alizeh Ali, ali, ali, Alizeh Kahan hai tu Mere dil mein hai na Ali, ali, ali, Alizeh Ali, ali, ali, Alizeh Tera hoon main Tujhe yaad hai na Ali, ali, ali, Alizeh Ali, ali, ali, Alizeh Kahan hai tu Mere dil mein hai na Ali, ali, ali, Alizeh Ali, ali, ali, Alizeh Tera hoon main Tujhe yaad hai na
Sooraj dhale toh lagta hai jaise Kaandhe pe mere sar hai tera Mera thikana chahe jahaan ho Yaadon mein meri ghar hai tera Main hoon jahaan Tu wahaan hai na Main aag hoon Tu hawa hai na Ali, ali, ali, Alizeh Ali, ali, ali, Alizeh Kahan hai tu Mere dil mein hai na Ali, ali, ali, Alizeh Ali, ali, ali, Alizeh Tera hoon main Tujhe yaad hai na In the darkness You help me find a spark The sweetest soul with the kindest heart If only you could you the way I do You see the sunshine and it's beautiful Yeah! all you have to do is smile I give anything to be there just to see you now Today with you in the warmth of summers night And watch the moon and stars come to life Can't begin to explain just what you think for me Yeah there was something in the . Close my eyes I still feel you . That's how I know . I cried a thousand times for you Walked a million mile for you You ain't still there to see You been living without me

Raabta

Kehte hain Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya
Har kisi ke liye Tera milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye Kehte hain Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye Tera milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye Kuch toh hai tujh se raabta Kuch toh hai tujh se raabta Kaise hum jaane, hume kya pata Kuch toh hai tujh se raabta Tu humsafar hai, phir kya fikar hai Jeene ki wajah hi yehi marna issi ke liye Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye hmm Meharbaani jaate-jaate mujh pe kar gaya Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya Tere nazaara mila, roshan sitaara mila Taqdeer ki kashtiyon ko kinara mila
Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye Teri saubat mein duaayein hain ussi ke liye Tere milna hai uss rab ka ishaara Maano mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye Kuch toh hai tujh se raabta Kuch toh hai tujh se raabta Kaise hum jaane hume kya pata Kuch toh hai tujhse raabta Tu humsafar hai, phir kya fiqar hai Jeene ki wajah hi yehi marna issi ke liye Kehte hain: Khuda ne iss jahaan mein Sabhi ke liye kisi na kisi ko hai banaaya Har kisi ke liye

Dekh Lena (From "Tum Bin 2")

Main baarish ho jaaunga Tum baadal ho jaaogi Dekh lena. dekh lena.
Itna tumko chaahunga Tum paagal ho jaaogi Dekh lena. dekh lena. Kehta hai sunn, yeh dhoop kinara Tera hua, main saara ka saara Dekh lena, tere honthon pe hamesha Main hansta hi rahunga dekh lena. Dekh lena. bheegi jo teri aankhen Aankhon se main bahunga dekh lena. Hmm. Dil toh hai har seene mein Hai pyaar lekin mujhme Sabse zyada dekh lena Mmm. apni lakeeron mein Main likh lungi khud hi tumko Hai mera vaada dekh lena Kehta hai sunn, yeh dhoop kinara Tera hua, main saara ka saara Dekh lena tere honthon pe hamesha Main hansta hi rahunga dekh lena… Dekh lena. bheegi jo teri aankhen Aankhon se main bahunga dekh lena.
Barso na bhuloge tum Aisi kahaani tumse Keh jaayenge hum dekh lena Hmm. aisa bhi hoga ik din Dil ki jagah seene mein Reh jaayenge hum dekh lena… Kehta hai sunn, yeh dhoop kinara Tera hua, main saara ka saara Dekh lena tere honthon pe hamesha Main hansta hi rahunga dekh lena… Dekh lena. bheegi jo teri aankhen Aankhon se main bahunga dekh lena

Aayat

Tujhe yaad kar liya hai Tujhe yaad kar liya hai Aayat ki tarah
Kaayam tu ho gayi hai Kaayam tu ho gayi hai Rivayat ki tarah Tujhe yaad kar liya hai Marne talak rahegi Marne talak rahegi Tu aadat ki tarah Tujhe yaad kar liya hai O tujhe yaad kar liya hai Aayat ki tarah Ye teri aur meri Mohabbat hayat hai Har lamha isme jeena Muqaddar ki baat hai Kehti hai ishq duniya jise Kehti hai ishq duniya jise Meri jaan-e-mann Iss ek lafz mein hi chhupi qaaynaat hai. Mere dil ki raahaton ka tu Zariya ban gayi hai Teri ishq ki mere dil mein Kayi Eid mann gayi hai
Tera zikr ho raha hai Tera zikr ho raha hai Ibaadat ki tarah Tujhe yaad kar liya hai O tujhe yaad kar liya hai Aayat ki tarah Hmm…

Mera Ishq (From "Saansein:)

When I hold you close my baby And you say you love me maybe I get a feeling life is gonna be alright

I wanna be with you all my life I wanna be with you all my life Khamoshiyan dil ki Honthon pe hai chhalki Sun le zara ehsaas mera Main ho gayi teri Main sajda karoon Hai Khuda sa tu Aankhon ki duaa Tu ho rubaroo Mujhko baahon se baandh le Mit jaane de yeh faasle Rakh le mujhko tu saath mein sadaa Mera ishq chala hai saath tere Mera ishq chala hai saath Tu ban gayi meri yaad Toh Rabb ko maangu aur kya All I need is love And all we need is time Running to you baby Give me all you want Give me all you can Take me to your heart my lady

New Post

Mele chaliyan

Mele chaliyan te leke aave chudiyan - 2 vich bava vich hon channa puriyan - 2 hoye ke leja mera guth milke - 2 Ho mele chaliy...

Popular Posts